Gulzar shayari: Gulzar ki shayari har lafz mein ek gehraai aur ehsaas rakhti hai. Unki har ek line mein jo dard, mohabbat, aur jazbaat hain, woh dil ko chhoo jaate hain. Gulzar sahab ne apni shayari mein jo sadgi aur shiddat dikhayi hai, woh sabko apna bana leti hai. Unki likhi hui lines na sirf jazbaat ko behtareen tareeqe se bayan karti hain, balki insaaniyat ke dard aur khushiyon ko bhi samajhne ka ek naya nazariya deti hain.
“Teri khushboo se ye jo raah jaane ki aadat ho gayi hai,
Mujhe khud se zyada, teri chahaton ki aadat ho gayi hai.”
- Gulzar
Agar aap Gulzar ki shayari ki khoj mein hain, toh yeh post aapko unke likhe hue jazbaat aur ehsaas se roshan kar sakti hai.
Tune Faisle Hi Faasle
Badhane Wale Kiye,
Warna Koi Nahi Tha…
Tujhse Zyada Kareeb Mere.
Humein Aadat Nahi Har Kisi
Pe Fida Hone Ki…
Tumhara Andaaz Zabardast Tha
Hum Sambhal Na Paaye…!!
Itna Kyun Sikhaye
Jaa Rahi Ho Zindagi…
Humein Kaun Si Sadiyan
Guzarni Hai Yahaan…
Apno Ne Itna Tanha Kar Diya…
Ki Hum Apne Raaz Gairon Se Khol Baithe.
Tumne To Kaha Tha
Har Shaam Haal Poochenge Tumhara,
Tum Badal Gaye Ho Ya
Tumhare Sheher Mein Shaam Nahi Hoti…
Idhar Tadap Hai Ki Woh Saath Nahi…
Udhar Woh Kehte Hain Ki Koi Baat Nahi…!!
Lagta Hai Aaj Zindagi
Kuch Khafa Hai,
Chaliye Chhodiye,
Kaun Si Pehli Dafa Hai…
Apni Zindagi Ke Saleeqe
Kuch Yun Mod Do…
Jo Tumhe Nazarandaaz Karein
Unhein Nazar Aana Chhod Do…
Ishq Hai To Shak Kaisa,
Nahi Hai To Haq Kaisa…
Agar Aansuon Ki
Keemat Hoti To
Kal Raat Wala Takiya
Arbo Ka Hota…
Na Jaane Kaun Si
Shikayaton Ka Hum
Shikaar Ho Gaye,
Jitna Dil Saaf
Rakha Utna Gunahgaar Ho Gaye…
Dooriyan Jab Badhne Lagi To
Galatfehmi Bhi Badhne Lagi,
Phir Usne Wahi Suna
Jo Maine Nahi Kaha…
Behad Khyaal Rakho
Karo Tum Apna,
Meri Aam Si Zindagi Mein
Bahut Khaas Ho Tum…
Dard Ko Muskurakar
Sehna Kya Seekh Liya,
Sabne Samajh Liya Ki,
Mujhe Takleef Nahi Hoti.
Bade Hi Khushnuma Waham The,
Ki Hum Unki Zindagi Mein Ahm The.
Tere Badalne Ka
Dukh Nahi Hai Mujhko,
Main To Apne Yakeen
Par Sharminda Hoon.